Mahashakti Maa Aparajita Evam Shastra / Astra Pujan
Vijayadashami par keval paramparik hathyaron hi nahi, balki aaj ke yug mein vyapar aur jeevan ko chalane wale sabhi upkaranon jaise- laptop, computer, kalam (pen), bahi-khate, factory ke yantra aur vahanon (vehicles) ki bhi pooja ki jati hai. Iske sath hi Maa Aparajita ka pujan kiya jata hai, jinki aradhna se vyakti ko 'Aparajita' yaani aisi divya shakti milti hai jise koi parajit na kar sake. Yeh anushthan vyakti ke charon taraf ek atyant prabhabshali aadhyaatmik suraksha kavach (Shield) ka nirmaan karta hai jo nakaratmak urja, buri nazar aur durbhagya ko door rakhta hai.
aprajita Mata mandir ,ramghat ,ujjain